Meenakshi Rajput
 

Main udass rasta hoon sham ka,
mujhe aahatoon ki talash hai.
ye sitare hain sab bujhe bjhe,
mujhe jugnoo ki talash hay.
har khushi hay mujh say khafa khafa,
mujhe zindagi ki talash hai.
ek hoojom sa hay laga hua,
mujhe dostoon ki talash hai.
mere zindzgi hay ek rasta
mujhe manziloon ki talash hai.
na jane kiya hay jo kho gaya,
mujhe shayad kisi apne kee talash hai...

 

Bahut udaas hai koi tere jaane se
Ho sake to laut aa kisi bahane se
Tu lakh khafa sahi per ek baar to dekh
Koi toot sa gaya tere rooth jane se

 

Na Chaaho Itna Hame,
Chahaton Se Dar Lagta Hai
Na Aao Itna Kareeb, Judai Se Dar Lagta Hai
Tumhari Wafaon Pe Bharosa Hai
Magar Apne Naseeb Se Dar Lagta Hai..

 

Kisiko chaaha tha maine bhi apna banana,
Par koi mujhe apna bana sake

aisi meri kismat na thi,
Koi tha jo sama gaya iss dil me

pehli hi nazar me,
Kabhi kisise mujhe to yun mohabbat na thi,
Uss chehre ki kashish ko kya bayaan karu mai,
Bas ye kaha ki kisi aur dekhkar bhi

vo raahat na thi,
Chain khoya neend ganwayi apni maine,
Zindagi me kabhi is kadar kisike zarurat na thi,
Vo aata to laata tha bahaaren saath apne,
Use paane se badhkar ab koi shiddat na thi,
Vo chala tha mere andheron me kuch iss tarah,
Ki mujhe raushni ke liye us

chaand ki zarurat na thi,
Jud gaya tha jabse mera naam uske saath,
Meri zamane is-se pehle aisi shoharat na thi,
Mai thi tanha zindagi ki har raah me apni,
Use pane ke baad mujhe aur kisise ulfat na thi,
Achanak vo ho gaya juda mujhse

kuch is tarah se,
Jaise use apni zindagi me kabhi

meri zarurat na thi,
Vo to bhula chukka hume ,

haq hai use bhulne ka,
Par kisiko dil me basakar bhula du

aisi meri aadat na thi,
Maanga tha har dua me uss rab se

tujhe sajde me apne,
Tere aagosh se badhkar meri koi jannat na thi…

 

Ajnabi Duniya Me Akela Khwab Hu Main
Sawalo Se Ghira Ek Jawab Hu Main
Jo Na Samajh Sake Unke Liye Koun?
Jo Samajhe Unke Liye Ek Kitaab Hu Main…

 

MUHABBAT mein nahi h faraq
jeenay or marny ka !!
Jis ko dekh kar jeety hein,
Usi zalim pay marty
hain...!!

 

Muhabbat Wo Hai Jo Aap Ko Samjhe
Pyar Wo Hai Jo Aap Ke Jazbat Ko Samjhe

Mil Jate Hai Yun To Apna Kehne Wale
Par Apna Wo Hai Jo Bina Kahe Har Bat Ko Samjhe

 

Manzil Bhi Teri Thi Aur Rasta Bhi Tera Tha,
Ek Tera Pyar Pa Lu Bs Yhi Sapna Mera Tha,
Ek Hm Akele Rh Gye, Aur Pura Sansar Tera Tha,
Sath Sath Rehne Ki Soch Bhi Teri Thi,
Fir Akele Chhod Jane Ka Khayal Bhi Tera Tha,

 

suna suna lamha lamha meri raahe tanha tanha
aakar mujhe tum tham lo, manjil teri dekhe rasta
mud ke jara abb dekh lo, aisa milan phir ho na ho
sab kuchh meraa tum hee toh ho
bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
o bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
suna suna lamha lamha, meree raahe tanha tanha

Bichhde bhee ham jo kabhee raasto me,
toh sang sang rahungee sada
kadmo kee aawaj sun ke chalungee,
tumhe dhund lungee sada
bhulee mohabbat kee yeh khushbuye hain,
hawaon me phailee huyee
chhu kar mujhe aaj mahsus kar lo, woh yade meree unchhuyee
aisa milan phir ho na ho, sab kuchh meraa tum hee toh ho
bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
o bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
suna suna lamha lamha, meree raahe tanha tanha

vaado ke dhago me ham tum bandhe hain,
jara dor tum tham lo
baaho mai aise pighal jane do mujhko,
aise meraa nam lo
mai woh shama hu jo roshan tumhe karke,
khud toh pighal jaungee
subah ka suraj tumhare liye hai, mai hu rat dhal jaungee
aisa milan phir ho na ho, sab kuchh meraa tum hee toh ho
bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
o bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
suna suna lamha lamha, meree raahe tanha tanha

Mud ke jara abb dekh lo, aisa milan phir ho na ho
sab kuchh meraa tum hee toh ho
bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
o bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
suna suna lamha lamha, meree raahe tanha tanha

 

Kaash ek waqt ki aisi baat ho,
Jab tere saath main, aur tu mere saath ho.

Haath pakad kar chale hum akeli raahon main,
Tu mujhe dekhe unn pyaari nazaron se, aur le apni baahon main.

Chhune par sun ho jaun aur dhime se diya bhujhe,
Suno dhadkan meri jisme naam tera hi goonje.

Uss sannate ko koi tod na paye, mujhe tujh main khone de.
Meri sanson se mil ja aur mujhe apna hone de.

Pyar ki baatein karoon tujhse apni palkon ke aashiyaaney main,
Har ek lafz moti ban ke barse jinhe laga baras banane main.

Tujhe itni mohaabbat doon ki lage sapna sa koi,
Ki har lamha har pal lage apna sa koi.

Kash ek waqt ki aisi baat ho,
Jab tere saath main, aur tu mere saath ho..