Meenakshi Rajput
 

suna suna lamha lamha meri raahe tanha tanha
aakar mujhe tum tham lo, manjil teri dekhe rasta
mud ke jara abb dekh lo, aisa milan phir ho na ho
sab kuchh meraa tum hee toh ho
bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
o bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
suna suna lamha lamha, meree raahe tanha tanha

Bichhde bhee ham jo kabhee raasto me,
toh sang sang rahungee sada
kadmo kee aawaj sun ke chalungee,
tumhe dhund lungee sada
bhulee mohabbat kee yeh khushbuye hain,
hawaon me phailee huyee
chhu kar mujhe aaj mahsus kar lo, woh yade meree unchhuyee
aisa milan phir ho na ho, sab kuchh meraa tum hee toh ho
bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
o bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
suna suna lamha lamha, meree raahe tanha tanha

vaado ke dhago me ham tum bandhe hain,
jara dor tum tham lo
baaho mai aise pighal jane do mujhko,
aise meraa nam lo
mai woh shama hu jo roshan tumhe karke,
khud toh pighal jaungee
subah ka suraj tumhare liye hai, mai hu rat dhal jaungee
aisa milan phir ho na ho, sab kuchh meraa tum hee toh ho
bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
o bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
suna suna lamha lamha, meree raahe tanha tanha

Mud ke jara abb dekh lo, aisa milan phir ho na ho
sab kuchh meraa tum hee toh ho
bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
o bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja
suna suna lamha lamha, meree raahe tanha tanha

 

Kaash ek waqt ki aisi baat ho,
Jab tere saath main, aur tu mere saath ho.

Haath pakad kar chale hum akeli raahon main,
Tu mujhe dekhe unn pyaari nazaron se, aur le apni baahon main.

Chhune par sun ho jaun aur dhime se diya bhujhe,
Suno dhadkan meri jisme naam tera hi goonje.

Uss sannate ko koi tod na paye, mujhe tujh main khone de.
Meri sanson se mil ja aur mujhe apna hone de.

Pyar ki baatein karoon tujhse apni palkon ke aashiyaaney main,
Har ek lafz moti ban ke barse jinhe laga baras banane main.

Tujhe itni mohaabbat doon ki lage sapna sa koi,
Ki har lamha har pal lage apna sa koi.

Kash ek waqt ki aisi baat ho,
Jab tere saath main, aur tu mere saath ho..

 

Hamen Koi Ghum Nahi Tha
Gham-e-Aashqi Se Pehle
Na Thi Dushmni Kisi Se Teri Dosti Se Pehle

Hai Ye Meri Bd Naseebi Tera Kya Kasur Is Me
Tere Ghum Ne Maar Dala

Mujhe Zindagi Se Pehle

Mera Pyar Jal Raha Hai Aey Chand Aaj Chup Ja
Kabhi Pyar Tha Hamein Bhi

Teri Chandni Se Pehle

Main Kabhi Na Muskrati Jo Mujhe Ye Ilam Hota
K Hazar Ghum Milen Ge Mujhe Ik Khushi Se Pehle...

 

Na Kr Gila Mere Behte Asuo Ka

Is Dil Ko Sabhi Ne Rulaya Hai

Na Dhundo Mere Dil Ki Kitab Me


Khushi Ka Panna

Har Panna Mere apno ne jalaya hai...<3<3

 

Aaj kuch kami hai tere bager
Na rang hai na roshni hai tere bager
Waqt apni raftar se chal raha hai
Bus Dharkan meri thami hai tere bager..!!

 

♥ Dil se likhi baatein dil ko chhu jaati hai ♥
♥ Aksar aankhein hi har baat keh jaati hai ♥
♥ Kuch log pyaar ke mayne badalte hai ♥
♥ Aur kuch logo ke pyaar se duniya hi badal jaati hai ♥

 

"Fursatain milain jab B
Ranjishain Bhula dena,,,

Kon jaane saanson Ki mohlatein

Kahan tak hain..."

 

Nadan Hai Kitna Woh
Kuch Smajta Hi Nhi
Seene Se Laga K Poochta Hai K
Dharkane Taizz Kyun Hain

 

Itni Jaldi Kya Hai Mujhe Chodne Ki,
Abhi To Had Baki Hai Mujhe Todne Ki,
Main Khilona Hun Gum Na Kar Mere Tootne Ka,
Mil Jayega Naya Zarorat Nahi

Mujhe Jodne Ki...♥♥