Meenakshi Rajput
 

Kisiko chaaha tha maine bhi apna banana,
Par koi mujhe apna bana sake

aisi meri kismat na thi,
Koi tha jo sama gaya iss dil me

pehli hi nazar me,
Kabhi kisise mujhe to yun mohabbat na thi,
Uss chehre ki kashish ko kya bayaan karu mai,
Bas ye kaha ki kisi aur dekhkar bhi

vo raahat na thi,
Chain khoya neend ganwayi apni maine,
Zindagi me kabhi is kadar kisike zarurat na thi,
Vo aata to laata tha bahaaren saath apne,
Use paane se badhkar ab koi shiddat na thi,
Vo chala tha mere andheron me kuch iss tarah,
Ki mujhe raushni ke liye us

chaand ki zarurat na thi,
Jud gaya tha jabse mera naam uske saath,
Meri zamane is-se pehle aisi shoharat na thi,
Mai thi tanha zindagi ki har raah me apni,
Use pane ke baad mujhe aur kisise ulfat na thi,
Achanak vo ho gaya juda mujhse

kuch is tarah se,
Jaise use apni zindagi me kabhi

meri zarurat na thi,
Vo to bhula chukka hume ,

haq hai use bhulne ka,
Par kisiko dil me basakar bhula du

aisi meri aadat na thi,
Maanga tha har dua me uss rab se

tujhe sajde me apne,
Tere aagosh se badhkar meri koi jannat na thi…




Leave a Reply.